Ganga Kinare Lyrics
Ganga kinare jaise savera
Paani mein bahti phoolon sa chehra
Galiyon ki halchal raunak shehar ki tu
Tere mere hain milte sitaare
Milte sitaare saare ke saare
Bole mohalla raunak shehar ki tu
Teri chahat ki dhun mein hoon dhundhlaya main
Lo mastaya mastaya mastaya main
Teri khaatir zamaane mein main aaya
Haan aaya main, main aaya
Maine bin tere kai din kaate
Poore ho chahat ke ghaate
Paane ki tujhko thodi jaldi hai
Ho maine bin tere kai din kaate
Baaton se bhar mere sannate
Paane ki tujhko thodi jaldi hai
Teri dhundh dhundh mein doob doob mein
Ban malang main mastaya
Dhundh dhundh mein doob doob mein
Ban patang main paglaaya
Dhundh dhundh mein doob doob mein
Mastaya mastaya main
Paglaaya main
Ho maine bin tere kai din kaate
Baaton se bhar mere sannate
Paane ki tujhko thodi jaldi hai
Yeh khwaahish yeh koshish
Rang laaye dil milaye
Koi doori koi deri na rahe
Ho main aksar hi tadap kar
Maangta hoon yeh duayein
Koi doori koi deri na rahe