Ishq Ka Fever Lyrics
Halka halka fever hai
Saans bhi dubli lagti hai
Dhoop mein jee nahi lagta
Chhaanv bhi gamgeen lagti hai
Kya rog yeh paala hai
Mujhe ishq hua hai ya hone wala hai
Mujhe ishq hua hai ya hone wala hai
Nafz seham ke chalti hai
Hansi bhi muzrim lagti hai
Kya hua hai mujhko
Kyun tanhayi achhi lagti hai
Kya tumne hi koi, koi jaadu daala hai
Mujhe ishq hua hai ya hone wala hai
Mujhe ishq hua hai ya hone wala hai
Din toh achha guzarta hai
Aur shaam bhali lagti hai
Pole pole paanv se
Jab yeh raat utarti hai
Dar lagta hai mujhko, tu jaane wala hai
Mujhe ishq hua hai ya hone wala hai
Mujhe ishq hua hai ya hone wala hai
