Pardesiya Lyrics
Pardesiya..
Hai tere pyaar mein jab se
Jhankaar si..
Hai dil ke taar mein tab se
Pardesiya..
Hai tere pyaar mein jab se
Jhankaar si..
Hai dil ke taar mein tab se
Tum ho mere, jaanta hoon magar
Pahunchaaun tum tak ye kaise khabar
Kab se hoon main ummeed mein
Hai ankaha jo, sun lo agar
Pardesiya..
Mila hai tu mujhe jab se
Main qaid hoon
Tere bhi pyaar mein tab se..
Pardesiya hain teri baatiyon ne
Kiya pareshan, pardesiya..
Pardesiya hain teri ankhiyon ke
Dil pe nishaan, pardesiya..
Haan, choo ke labon se jaise
Jaadoo hi kar diya
Saawan ne morni ko
Qaabu mein kar liya
Hum dono ki juda thheen hastiyaañ
Hon kinaara bin jaise kashtiyaan
Aasaan ho aage safar
Tum saath mera chun lo agar
Pardesiya..
Mila hai tu mujhe jab se
Main qaid hoon
Tere bhi pyaar mein tab se..
Ho tum ho meri jaan, jaanta hoon magar
Pahunchaaun tum tak ye kaise khabar
Kab se hoon main ummeed mein
Hai ankaha jo, sun lo agar