Safar Mein Gum Lyrics
Safar mein gum sa main ho gaya
Yeh raasta mera kho gaya
Hoon main be-khabar,
Chal doon ab kidhar,
Hoon kaisa shajar,
Khoju dar ba dar
Safar mein gum sa main ho gaya
Yeh raasta mera kho gaya
Laapata phir raha,
Manzil hai kahan
Laapata phir raha,
Kya yeh woh raasta
Laapata phir raha,
Kya yeh safar mera
Kal ki fikar mein
Aaj bhi hai gumshuda
Ab ki fikar mein
Kal bhi tha dilshuda
Dhoondhta haan dhoondhta main kya
Laapata phir raha
Man ki tarang se
Aaj ko hoon aankta
Man ki tarang mein
Kal ko hoon taakta
Kaisi yeh kashmakash hai
Gum hoon main ya gum safar hai
Kaisi yeh kashmakash hai
Ba-haal, be-haal rukh kahan
Safar mein gum sa main ho gaya ho gaya
Yeh raasta mera kho gaya kho gaya
Safar mein gum sa main ho gaya ho gaya
Yeh raasta mera kho gaya kho gaya
Kho gaya aa aa
Safar mein gum sa main ho gaya
(Ye jagah kahan)
Yeh raasta mera kho gaya
(Kya yahi hai ghar mera)
Safar mein gum sa main ho gaya
(Kya meri daastaan)
Yeh raasta mera kho gaya
(Kahan mera raasta)