Tere Hawaale - Arijit Singh, Shilpa Rao

Tere Hawaale lyrics sung by Arijit Singh and Shilpa Rao with soulful music by Pritam and lyrics penned by Amitabh Bhattacharya.

Listen On

Featuring

No Information Available

Release Date 4 August 2022

Tere Hawaale Lyrics

Mainu chadheya ishq mein rang tera
Ik ho gaya ang mera ang tera
Rabb milleya jadd milleya
Maahi mainu sang tera

Na hoke bhi kareeb tu
Humesha paas tha
Ke 100 janam bhi dekhta
Main tera raasta

Na hoke bhi kareeb tu
Humesha paas tha
Ke 100 janam bhi dekhti
Main tera raasta

Jo bhi hai sab mera
Tere hawaale kar diya
Jism ka har ruaan
Tere hawaale kar diya

Jo bhi hai sab mera
Tere hawale kar diya
Jism ka har ruaan
Tere hawale kar diya

Dekha zamaana saara bharam hai
Ishq ibadat ishq karam hai
Mera thikaana teri hi dehleez hai

Ho main hoon deewarein
Chhatt hai pia tu
Rab ki mujhe nemat hai pia tu
Mere liye tu barqat ka taaveez hai

Zara kabhi meri nazar se
Khud ko dekh bhi
Hai chand mein bhi daag par
Na tujhme ek bhi

Khud pe haq mera
Tere hawaale kar diya
Jism ka har ruaan
Tere hawaale kar diya

Jo bhi hai sab mera
Tere hawale kar diya
Jism ka har ruaan
Tere hawale kar diya

Mainu chadheya ishq mein rang tera
Ik ho gaya ang mera ang tera
Rabb milleya jadd milleya
Maahi mainu sang tera

Tere Hawaale Music Video