Tu Mil Gaya Lyrics
Kaash ke din aisa ho
Kaandhe pe tere dhal jaaye
To din woh hoga kitna khushnuma
Teri tamanna aisi
Har roz bata ke jaaye
Tu reh ja banke mera aasmaan
Tere sang jeena hi to
Jeena mere humdum
Apna hai maana maine
Maana tujhe hardum
Goonje hawaaon mein hai
Teri meri sargam piya
Jo tu mil gaya deewane bane
Hum tere pyaar mein muskurane lage
Jo tu mil gaya deewane bane
Hum tere pyaar mein muskurane lage
Tere sang ishq hai rab ne likha
Rab ne diya tera naam pata
Paaye nazaare hai tere kinaare piya
Jabse hai mujhe tera sang mila
Sang se tere har rang khila
Tere sirhane hi mere sitare piya
Meethi lage har baat teri
Dil to na maane baat meri
Na jaane kaise tumne hai jaadu kiya haaye
Jo tu mil gaya deewane bane
Hum tere pyaar mein muskurane lage
Jo tu mil gaya deewane bane
Hum tere pyaar mein muskurane lage
Teri tamanna aisi
Har roz bata ke jaaye
Tu reh ja banke mera aasmaan